Sardar Anjum
Ghamon ne gher liya hai mujhe toh kya gham hai
Main muskuraa ke jiyuunga teri jiyuungi aapke khushi ke liye
Kabhi kabhi tu aap mujhe yaad kar toh leti hai lete ho
Sukuun itna sa kaafi hai zindagi ke liye
Ye vaqt jisne palat kar kabhi nahin dekha
Ye vaqt ab bhi muraadon ke phal laataa hai
Vo mod jisne humein ajnabi banaa daala
Us ek mod pe dil ab bhi gungunaata hai
Fizaayen rukti hain raahon par jin se hum guzre
Ghataayen aaj bhi jhuk kar salaam karti hain
Har ek shab ye sunaa hai falak se kuch pariyaan
Vafaa ka chaand humaare hi naam karti hain
Ye mat kaho ki muhabbat se kuch nahin paayaa
Ye mere geet mere zakhm-e-dil ki rulaai
Jinhen tarasti rahi anjuman ki rangeeni
Mujhe mili hai muqaddar se aisi tanhaai
© Surya Murali
Comentarios